About Me

My photo
dnt want to sway anybdy.. so, draw ur own perception.. :)

Monday, November 30, 2009

chune do aasma mujhe..udna hai aaj mujhe... ( dedicated to NDTV & SMILE foundation.. )


Chune do aasmaan mujhe…
Udna hai aaj mujhe..
Jaana hai bahot dur roko na tum yu mujhe…
Mera bachpan meri khusiya de do mujhe..
Kabhi apno sa toh samjho mujhe..
Ye zameen ye assman kyu mujhe na apna lage..
Iss andheri duniya me sabkuch ek jaisa dikhe..
Aa tham lo iss haath ko..
Iss darr se dur le chalo mujhe..
Udna hai aaj mujhe...
chune do assman mujhe…
Sapno ki wo duniya na hai kismat meri…
Haqeqqat ki tasveer me hai majbur raahein meri..
Apno ki zindagi k liye apno ki roz maut hui..
Khwaab roz dekh ke aankhen dundhli padi..
Bhai ki bukh se zindagi ko hausla diya karte hai..
Khali paet bhi hum sapne dekh muskura liya karte hai..
Kisi apne k khone ke gum ko hum chupa liya karte hai..
Bukhe paet ki khatir zindagi se jung roz kiya karte hai..
Chune do aasman mujhe…
Udna hai aaj mujhe…
Bebas si zindagi me bhi khushiya dhoond liya karte hai..
Garib hai toh kya hua zindagi paiso k liye nhi apno k liye jiya karte hai…
chune do aaj mujhe...........

samjho jaano mujhko yaha se nikalo…
Ek haath bada k toh dekho....
apne zameer ko tum aaj pehchaano…

teri khamoshi...

khata kya humse hui..
jo judaai tumse kuch aisi hui...
yaaado ko bhulane ki har koshish karte hai..
dur hoke bhi teri khamoshiyo se darte hai... :((((

lamhein...

is pal ko zindagi nhi duharayegi..
beetein lamho ki yaad piche reh jayegi...
saath toh tera yaad ayega..
par inn aankho ko num nhi, hootho pe tere jane ki muskurahat de jayega....

duniya..

meri duniya toh badal di..
mujhko bhi badal diyaa hota...
muhh modne se pehle ek bar hi sahi... kabhi apna toh kaha hota... :(

socha na tha...

hota hai wo jo socha na tha..
khoya wo sab jo shyad kabhi mera na tha..
roya mai yu jaise koi apna na tha...
usko tum pehchaan lo.. jo sirf tera hi hai aur tera hi tha...

remembering 26/11 . . . .

Remembering 26/11..Tabahi ka kahar jo aaya tha..Darr ka manjar jo chaya tha..Hazaro ke khun ka sitam jo usne dhaya tha..Maasomo ko apno se dur karaya tha..HAARE THE NA HAARE HAI.. Mere bharat ke jazbe ne..Duniya me apne veero ka dum dikhaya tha..Haarna hume aata nahi..Khoon kisi ka bewajah mai bahata nahi..Par mere desh ko dard dene wale… tujhko baksha jata nhi.. mumbai k jazbe ko salam, bharat k veero ka samaan…

Followers