
Udna hai aaj mujhe..
Jaana hai bahot dur roko na tum yu mujhe…
Mera bachpan meri khusiya de do mujhe..
Kabhi apno sa toh samjho mujhe..
Ye zameen ye assman kyu mujhe na apna lage..
Iss andheri duniya me sabkuch ek jaisa dikhe..
Aa tham lo iss haath ko..
Iss darr se dur le chalo mujhe..
Udna hai aaj mujhe...
chune do assman mujhe…
Sapno ki wo duniya na hai kismat meri…
Haqeqqat ki tasveer me hai majbur raahein meri..
Apno ki zindagi k liye apno ki roz maut hui..
Khwaab roz dekh ke aankhen dundhli padi..
Bhai ki bukh se zindagi ko hausla diya karte hai..
Khali paet bhi hum sapne dekh muskura liya karte hai..
Kisi apne k khone ke gum ko hum chupa liya karte hai..
Bukhe paet ki khatir zindagi se jung roz kiya karte hai..
Chune do aasman mujhe…
Udna hai aaj mujhe…
Bebas si zindagi me bhi khushiya dhoond liya karte hai..
Garib hai toh kya hua zindagi paiso k liye nhi apno k liye jiya karte hai…
chune do aaj mujhe...........
samjho jaano mujhko yaha se nikalo…
Ek haath bada k toh dekho....
apne zameer ko tum aaj pehchaano…